Thursday, March 11, 2010

Krodh

Krodh

Krodh ghrana ki aur le jaa raha hai mujhko,
Ye krodh ek shatruta mein dhakel raha hai mujhko,
Ye krodh is bheed mein akela bana raha hai mujhko,
Kyun krodh itna khud mein duba raha hai mujhko..


Krodh se vashibhoot hoon ya ye katuta hai meri swayam se,
Aschaarya karun ya daya karun khud pe,
Koi sahara nahi, ek ananat andhkaar hai bas,
Manoshakti aahat hai kamjor ho raha hai vishwaas


Phir bhi uthtna hoga is badh rahe rosh ke khilaaf
Pal pal badalti duniya ki reet ko samajhna hoga
Sacchai ko doosron ki aatma mein dhoondne se pehle,
Swayam ke antarman ko jhinjhodnaa hoga.
Manoram yaadein aur khushiyon ke palon ko milaakar,
Ek upchaar khojnaa hoga
Haan ab is krodh ko maadhurya se todna hoga.


No comments:

Post a Comment