VJ->
Mera chotaa sa kumraa aur uski badi si khidki
Mere is kumre ko hi mera ghar bana deti hai
Phir achaanak patri se guzarne waali train
Yahan bitaaye hue hur ek saal ki yaad dila deti hai
Wo alhadpan wo khushi wo moorkhta
Chehre par phir se ek lambi muskaan chod jaati hai
Haan bahut si baatein hai jo ab bahut yaad aati hai

Kuch baatein jo shuru hui thi
Jo chal rahi hai, jo chalti rahengi
Wo khushi jo khili thi mehki thi aur thami thi
Par maano laut kar aajati thi dosto ke bahaano se
Wahi khushi jise maine kaid kar liya hai
Ek katra bhi na choot jaaye poora dhyaan diya hai
Aankhon mein doosron ki jub dikhti koi numee thi
To yahi khushi to unse judkar unko khushnuma bana jaati hai
Haan bahut si baatein hai jo bahut yaad aati hai

Raat bhar ek behtar kul ki chintaa subah subah utha deti ti
Kya din bhar kurnaa hai aur jo bilkul nahi kurnaa hai
Ek anjaani samajh mujhe khud samjhaa deti thi
Pyaar kurne waale kaafir hai, pyaar ek bhool hai
Na jaane meri wo samajh kahaan chali jaati thi
Aur jub chot lagti thi to bus kaune mein padi meri wo ek dairy saath nibhaa jaati thi
Haan bahut si baatein hai jo ab bahut yaad aati hai
Kya din bhar kurnaa hai aur jo bilkul nahi kurnaa hai
Ek anjaani samajh mujhe khud samjhaa deti thi
Pyaar kurne waale kaafir hai, pyaar ek bhool hai
Na jaane meri wo samajh kahaan chali jaati thi
Aur jub chot lagti thi to bus kaune mein padi meri wo ek dairy saath nibhaa jaati thi
Haan bahut si baatein hai jo ab bahut yaad aati hai

Kuch dost yahaan paayein hai
Jo meri zindagi ki kitaab par kabhi na mitne waali syaahi hai
Chhavi mujhe jo khud ki pehle ek dikhaayi deti thi
Aaj wo anek hai, aur ye durpun ka dhokha nahi
Ye aanhon ki sacchayi hai
Amoolya hain ye sab meri aanhein mujhe bataati hai
Aur is tarah ye sub chhaviyan meri aankhon mein bus jaati hai
Haan bahut si baatein hai jo ab bahut yaad aati hai.

awesome!!! khidki kamra aur khidki ke bahar ki train... being from ur college I can see what you are talking about.. and then the flow and the thought both are amazing.. what a way to present hostel life... awesome ... great work.. keep writing..
ReplyDelete